Jis kay elaj kay liye kafi raqam aur waqt ki zaroorat hai. Ghareeb sey ghareeb naujawan bhi kisi na kisi tarah sey elaj kay liye moti raqam paeda karta hai, chahey usey chori hi kyun na karni parey. Ba'az naujawan to elaj kay liye maan kay zaewer tak baech detey hain. Yeh hakeem naujawanon ko steroids waghaera detey hain jinhein kha kar aksar naujawan kisi na kisi muhlik beemari mein mubtala ho jatey hain. Bohut sey shadi shuda joron mein inhi mughaliton (misconceptions) ki wajah sey alaehdgi ho jati hai.
Amooman 15 aur 20 saal ki umer mein jinsi ghudoodon ki kaarkardagi ki wajah sey naujawan larkon mein mani (semen) zyada bannney lagti hai jiski wajah sey naujawanon mein jinsi aasoodgi ki shadeed khwahish paeda honay lagti hai aur mukhtalif tareeqo'n sey apni jinsi aasoodgi hasil karney ki fikr kartey hain kyun kay hum mani ko mehfooz nahin kar saktey chuna'ncha iska ikhraj zaroori hai aur yeh ikhraj ek sehat mand uzwiati amal hai. Yeh ikhraj jaez ho sakta hai aur na jaez bhi, halal bhi aur haram bhi. Yeh shaoori ho sakta hai aur ghaer shaoori (ehtilam) bhi.
Mani (semen) kay ikhraj kay 4 zaryey hain.
1. Shaadi 2. Ehtilam 3. Khudlazzati 4. Zina
Har baligh fard mazkoora 4 zaryon mein sey ek aadh zarya zaroor ikhtiyar karta hai, mujhey aisey kisi fard ki talaash hai jo jawan hai aur jinsi aasoodgi kay liye mazkoora 4 mein sey koi bhi zarya ikhtiyar nahin karta. Agar aap hain to mujh sey fori raabta karein aap ka naam 'Guiness Book Of World Records' mein shamil hoga.
Shaadi (Marriage)
Mani (semen) kay ikhraj ka sab sey behter zarya shaadi hai isi liye Allah kay nabi ney nay taakeed ki hai kay baaligh hotey hi fard ki shaadi kar di jaey ta'kay who gunaho'n sey bach jaey. Shaadi ki wajah sey fard na sirf gunaho'n sey bach jata hai bulk ay mani kay ikhraj ki wajah sey woh jismani aur zehni tor per pursukoon ho jata hai. Biwi sey mubaashirat sirf faraj mein karney ki ijazat hai. Maq'ad(anus) mein mubaashirat qata'an haram hai.
Hazrat Abu Hurera sey rivayat hai kay Hazrat Muhammad ney farmaya kay apni biwi kay paas maq'ad (anus) mein aaney wala mal'oon hai. (Ahmed, Abudaud)
Maghrib mein taqreeban 30% mard kabhi na kabhi aurat ki maq'ad (anus) mein mubaashirat kartey hain, yaad rahey kay dakhool (penetration) kay ba'ad donon per ghusal farz ho jata hai chahey inzal ho ya na ho.
Shadi bhi kisi aurat kay sath ho. Maghrib mein to shadi mard kay sath bhi hoti hai j okay ek bohut bara gunah hai. Badqismati sey humarey haan bhi aisey log mojood hain jo ayrat ki nisbat mard sey jinsi fael ko terjeeh detey hain yeh ek nafsiyati beemari hai jis ka nafsiyati elaj mumkin hai. Humarey haan yeh sahoolat mojood hai.
Ehtilam (Nocturnal Ejaculation)
Ek dubla patla naujawan merey clinic mein aaya, woh bohut pareshan tha. Uss ney bataya kay woh din ba din kamzor hota ja raha hai, uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai. Meine wajah poochi to batay akay usey haftey mein ek baar ehtilam ho jata hai. Meine uss sey poocha kay kya woh bachpan mein mota taza tha uss ney bataya kay woh bachpan hi sey dubla patla hai. Meine poocha kay kya usey bachpan mein bhi ehtilam hota tha uss ney naïf mein sar hilaya yani uss kay dubley pan ki wajah ehtilam na tha magar woh iss ko wajah samajh kar pareshan tha.
Mani kay ikhraj ka doosra behter rasta ehtelam hai jin naujawano ko mubashirat ya khud lazzati ka kasrat sey moqa nahin milta unn ko ehtilam ho jata hai. Yani sotey mein khwab mein ya khwab kay baghaer peeshab kay rasta mani kharij ho jati hai. Iss kay baad ghusal farz ho jata hai, albatta iss sey roza nahin tootta. Hazrat AbuHurera sey marvi hai kay RasoolAllah ney farmaya kay teen cheezon sey roza nahin tootta, pachna, qaey aur ehtilam. (Abudaud)
Yeh amal 8, 10 saal ki umer sey shuru ho sakta hai. Behter hai kay bachay ko iss kat muta'alliq paeshgi bata diya jaey warna isey jinsi beemari samajh ley ga aur khauf zada aur pareshan ho jaey ga. Phir kisi neem hakeem kay hutthey charh kar sehat aut rupya zaya karey ga. Ehtilam ek bilkul normal aur sehat mand uzwiati amal yakaifiyat hai jis kay barey mein pareshan honay ki zarorat nahin.
Ehtilam Kay Farzi Burey Asraat: Kamzor Dimagh Khauff
|
Albatta agar yeh 6, 7 saal ki umer mein shuru ho jaey to phir kisi mahir urologist sey mashwara kar liye jaey.
Ehtilam waley khush qismat hain kyun kay woh iss tarah mani kay ikhraj ki wajah sey khudlazzati aur zina sey bach jatey hain. Yeh rozana ho sakta hai bul kay ek raat mein do teen baar bhi ho sakta hai. Ek mashhoor muhaqqiq Kinsey kay survey kay mutabiq yeh ek haftey mein 12 dafa bhi ho sakta hai. Yeh na sirf naujawano ko hota hai bul kay 70 saala boorhey, jis ko m ubaashirat ka moqa nahin milta, ko bhi ho sakta hai. Ta'hum yeh chahey kitni hi martaba kyun na ho ek normal amal hai, kyun kay mani ka ikhraj ek sehat mand amal hai. Insan ki sehat per iss kay koi burey asraat nahin partey. Saarey doctors, reasearchers, mahireen-e-nafsiyat aur jadeed ilm sey aagaah hakeem iss baat sey poori tarah ba khabar hain kay ehtilam koi nuqsan deh cheez nahin. Chuna'ncha yeh baat poorey daawey sey kahi ja sakti hai kay ehtilam kay kisi bhi tarah kay burey asraat nahin.
Allbatta neem hakeem naujawano ko ehtilam kay farzi burey asraat aur tabah kaariyon sey khauf zada kar detey hain, jin mein sey chund yeh hain_
Ehtilam sey dimagh aur hafiza kamzor ho jata hai._parhney ko dil nahin karta (parhney ko kis talibilm ka dil karta hai) yaad kya hua yaad nahin rehta_beenaee kamzor ho jati hai_a'asaab kamzor parr jatey hain_fard khauf aur ghabraahat ka shikar ho jata hai_uss kay dil ki dharkan taez ho jati hai_aankhon kay aagey andhera cha jata hai_chusti, chalaki khatam ho jati hai_chehra bey ronaq ho jata hai_badan susu aur kamzor parr jata hai_fard zara si mehnat sey thak jata hai_kisi kaam mein dil nahin lagta.
Ehtilam Kay Farzi Burey Asraat: Khauff
|
Albatta agar yeh 6, 7 saal ki umer mein shuru ho jaey to phir kisi mahir urologist sey mashwara kar liya jaey.
Taangon aur kamar mein dard mehsoos hota hai_fard susti, kaahili aur udaasi mehsoos karta hai_mizaj chirrchira ho jata hai_ehsaas-e-kamtari ki wajah sey fard kisi sey aankh mila kar baat nahin kar sakta.
Yaqeen karein kay inn tabah kaariyon ki koi haqeeqat nahi. Albatta kuch log ehtilam kay ba'ad kuch kamzori aur doosri jismani aur nafsiyati alamaat (symptoms) ki shikayat kartey hain. Iss ki wajah manfi suggestions hain jo humein ghaer meyari kutub aur deewaron per ishtehaarat sey milti hain jin mein ehtilam ki tabah kaariyon ka zikr hota hai. Phir fard sochta hai kay woh kamzor ho jaey ga to woh kamzor ho jata hai, dar asal insan jaisa sochta hai waisa hi mehsoos karney lagta hai.
You Are What You Think
Hath halka bhari honey ka tajurba
Ek tajurba karein, kisi pur sukoon jagah beth jaein, aankhein bund kar lein, donon baazu aagey ko kar lein aur tasawwur karein kay aap kay da'ein hath per ek hot air balloon bandha hua hai, jo aap kay hath ko ley kar ooper ja raha hai aur doosrey hath kay ooper ek moti dictionary hai uss kay bojh ki wajah sey baya'n hath neechey jar aha hai, aap kuch der sochein aur tasawwur karein, hath khud ba khud halka aur bhar ho jaey ga.
Iss kamzori ki bari wajah inn farzi tabah kaariyon ka khauf aur zehni dabau (stress) hota hai jis ki wajah sey fard depression ka shikar ho jata hai.
Zehni Dabau Aur Ehsaas e Gunah
|
Depression mein fard shadeed afsurdagi aur udaasi mehsoos karta hai, uski neend urr jati hai, bhook khatam ho jati hai jiski wajah sey woh kamzor honay lagta hai. Iss kay elawa zehni dabau (stress) ki wajah se fard bohut si doosri jismani beemariyon ka shikar ho jata hai. Ab tehqeeq sabit ho chuka hai kay nafsiyati beemariyon ki sab sey bari wajah zehni dabau (stress) hai. Iss kay elawa 50 ta 80% jismani beemariyon ki wajah bhi zehni dabau hota hai. Iss sey ulcer sey cancer tak ho jata hai. Haqeeqat yeh hai kay ehtilam kay jinsi, zehni aur jismani sehat per koi burey asraat nahin partey.
Iss ki ek aur wajah fard ki tawaqqa (expectation) bhi hai. Insaan jaisi tawaqqa karta hai waisa hi mehsoos karney lagta hai yani waisa hi ho jata hai. Ek American doctor Norman ney ek dilchasp tajurba kya, iss tajurbey mein 10 log shamil thay. Inn mein Dr.Norman khud bhi shamil tha. 10 log ek hotel mein ikatthey huey. Dr. Norman ney unn sey poocha kay woh agley saal kis cheez ki tawaqqa kartey hain. Har fard ney apni tawaqqa ek kaghaz per likhi aur inn sab ko alaehda alaehda envelope mein bund kar diya gaya. Ek saal ba'ad yeh sab log isi hotel mein ikatthey huey, inn mein ek fard na aaya. Ek ek kar kay sab kay envelope kholey gaey har fard ney jiski tawaqqa ki thi uss nay taqreeban woh cheez hasil karli thi. Ghaer hazir fard ka envelope aakhir mein khola gaya iss mein darj tha kay humarey khandaan mein mardon ki umrein zyada lambi nahin hotiin lehaza mera khayal hai kay mein agley saal tak zinda na rahun ga, aur woh faut ho chuka tha.
Naujawan amooman pehley mushtzani (masturbation) shuru kartey hain, phir ehsaas-e-gunah aur iss kay farzi asraat kay khauf sey
Ehtilam Ki Wajoohaat
|
Mushtzani chor detey hain magar mushtzani chortey hi unn ko ehtilam shuru ho jata hai. Phir naujawan ajeeb makhmasey mein phans jatey hain kay mushtzani karein to shadeed ehsas-e-gunah aur jinsi kamzori ka ehsaas aur mushtzani chorein to ehtilam aur phir jismani aur jinsi kamzori ka khuaf aur ehsaas.
Ehtilam Ki Wajoohaat
Iss ki wajah to yeh hoti hai kay fard ki mani ka kisi aur zaryey sey ikhraj nahin hota to iss tarah sey ikhraj ho jata hai kyun kay koi fard mani ko mehfooz nahin kar sakta.
Romantic films, fahash films, tasaweer, kahaniyan, fahash baatein aur internet per sex sites ka visit bhi iss ka ek ahem sabab hain.
larki kay sath romantic mahol mein guzara hua waqt jis mein mubaashirat ki shadeed khwahish ho jo poori na hui ho, iss tarah ehtilam kay zaryey khwab mein fard woh khwahish poori kar leta hai.
Narm bister, tung patloon aur underwear bhi ek ahem wajah hai.
Soney sey qabal peeshab na karna ya soney mein peeshab ko rokna waghaera bhi wajah ban jati hai.
Mahireen ka khayal hai kay ehtilam ko bund karney ki koshish na ki jaey, agar mani kay ikhraj ka yeh acha raasta bund ho gaya to woh fard doosrey ghalat raastey talash kar ley ga, phir woh khudlazzati karey gay a zina mein mubtala ho jaey ga. Amooman woh naujawan jin ko zyada ehtilam hota hai woh khudlazzati (masturbation) nahin kartey.
Ehtilam Ki Wajoohaat: Shaadi Tawajjuh
|
Ehtilam ghaer shadi shuda afraad kay elawa shadi shuda afraad ko bhi ho jata hai jin ko biwi sey mubaashirat ka jald ya kasrat sey moqa nahin milta, ta'hum isey kisi hudd tak kam kya ja sakta hai. Iss kayliye gandi filmon, kahaniyion, tasaweer, sex sites, dramon, gaanon aur buri sohbat sey bacha jaey, sports mein zyada dilchaspi lii jaey, rafahee kaamon mein hissa liye jaey, deen ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Raat ka khana kam aur jald khaya jaey. Raat kay khaney kay ba'ad saer ki jaey, sotey waqt garam doodh aur chaey na pii jaey, sotey waqt zyada pani na piya jaey. Bister bohut narm na ho, isi tarah kaprey khusoosan underwear tung na ho. Soney sey pehley peeshab zaroor kar liye jaey. Sotey mein jab bhi peeshaab ki hajat ho to foran neend sey baedaar ho kar peeshab kar liye jaey. Peeshab rokney ki zaroorat mein ehtilam kay imkanaat bohut barh jatey hain. Waisey ehtilam koi beemari nahin, iss ka koi nuqsaan nahin aur na hi iss kay elaj ki koi zaroorat hai
Khudlazzati Sey Kamzori
|
Khudlazzati
Masturbation
26 sala Asif elaj kay liye merey clinic aaya. Masley ki tafseel batatey huey uss ney bataya kay woh bohut kamzor ho chuka hai. Din ba din uski mardana quwwat khatam hoti ja rahi hai aur ab woh biwi kay qabil nahin raha. Usey shadeed ehsaas-e-gunah bhi tha, ek baar khudkushi ki koshish bhi kar chuka hai. Uss ney bataya kay woh mushtzani (masturbation) ka shikar hai aur koshish kay ba wajood isey chor nahin saka.
Mani (semen) kay ikhraj ka teesra aur ahem zarya khudlazzati aur mushtzani hai isey hathrasi, dastkashi aur handpractice bhi kaha jata hai.
Khudlazzati aur mushtzani mein ma'amooli sa farq hai. Khudlazzati sey muraad yeh hai kay fard mubaashirat kay elawa kisi bhi aur tareeqey sey mani kharij karey. Khudlazzati ka sab sey ahem zarya mushtzani hai. Mushtzani sey muraad apney hath sey ya kisi doosrey kay hath sey mani ka ikhraj karna. Ba'az mahireen (oral) mu'nh sey sex ko bhi khudlazzati mein shamil kartey hain. Yeh baat yaad rahey kay mani kay ikhraj sey roza toot jata hai aur fard per ghusal wajib ho jata hai. (mishkat)
Khudlazzati kay bohut sey tareeqey hain sab sey aam to zakar (penis) ko hath sey mushta'el karna hai.
Khudlazzati Ya Mushtzani Sey Pareshan Naujawan
|
Magar ba'az log maq'ad (anus) aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil kar kay bhi jinsi lutf uthatey hain. Maq'ad aur peeshab ki naali mein koi cheez daakhil karna muhlik ho sakta hai. Iss sey har soorat bachna chahiyie. Mera ek client apni peeshab ki naali mein kabhi pencil, kabhi tinka daakhil kya karta tha.
Humarey haan sab sey zyada ghalat baatein (myths) mushtzani kay hawaley sey mashhoor hain. Jinhon ney naujawan nasal ko pareshan kar rakha hai. Mushtzani mein fard hath sey apni jinsi khwahish ko poora karta hai. Naujawan iss amal ko haftey mein ek ya do baar kar letey hain. Merey ba'az client rozana aur ba'az ek din mein 6 ya 7 baar tak kar letey hain. Mera ek shadi shuda client 24 ghanto'n mein 15 dafa tak karleta tha. Iss ney aisa kaee baar kya. Yani woh jagtey mein taqreeban har ghantey mein ek baar kar leta tha, woh abhi zinda hai, kaee bachon ka baap hai. Kitabon mein ek aisey fard ka bhi zikr milta hai jo har ghantey mein 3 ya 4 baar mushtzani kar leta tha.
Hindustan, Pakistan mein naujawanon ka sab sey ahem masla mushtzani hai. Yeh masla mardon mein zyada aur aurton mein kam hai. Mukhtalif researchers (muhaqqaqeen) kay mutabiq 95 ta 99% mard iss aadat ka shikar hain. Ma'aroof researchers sherry,hyte kay survey kay mutabiq 99% mardon ney kabhi na kabhi mushtzani ki hai. Mashhoor mahir-e-nafsiyat Fryde ka khayal hai kay saarey mard kabhi na kabhi khudlazzati kartey hain albatta 95% iqraar kartey hain aur baqi 5% jhoot boltey hain. Magar research aur mera clinic ka tajurba fryde kay iss khayal ki tardeed karta hai yani 1% khudlazzati nahin kartey
| Khudlazzati Ya Mushtzani: Umar Jinsi Suroor |
Mein aisey logon sey waqif hun jinhon ney kabhi khudlazzati nahin ki albatta unko ehtilam khoob hota tha. Bohut sey bachey 10 saal ki umer sey pehley mushtzani shuru kardetey hain. Ba'az bachey 6 maah ki umer sey mushzani karney lagety hain, albatta inka andaz baron sey mukhtalif hota hai maslan maan bachey ko nehaltey waqt jab uss kay zakar ko mul kar saaf karti hai to usey shahoot aa jati hai aur uska zakar akarr jata hai yani usey erection ho jati hai. Isi tarah aap ney dekha hoga kay 6, 7 maah ka bacha bister per leta apney akrey zakar sey khel raha hai (choti umer kay bachey agar apney zakar ko chaerein to unko daantney ki bajaey unki tawajjah kisi aur taraf kar dein) iss umer mein bachon ko jinsi suroor-o-lutf (orgasm) to hasil hota hai magar inzal nahin hota. Mani ka ikhraj ya baloghat kay ba'ad hota hai. Merey paas ek bacha laya gaya bachey ki umer 4 saal thi woh apney zakar ko maan ya baap kay jism sey ragerr kar suroor hasil karta. Yaad rahey kay bachey kop maan kay paet mein tanau (erection) ho jata hai. (Hyde)
Agarcha khudlazzati ka zyada ter shikar larkey hotey hain jin ki shadi na hui ho magar ab jadeed research sey ma'aloom hua hai kay shadi shuda mard bhi iss aadat mein mulawwis hain.
Mashhoor American muhaqqiq Kinsey ki research kay mutabiq America 70% shadi shuda graduate saal mein taqreeban 24 baar mushtzani karletey hain yani ek maah mein do baar tak mushtzani kay zaryey mard amooman 2 ta 5 minute mein inzal hasil karletey hain.
| Mushtzani Kay Masail Aur Jinsi Kamzori |
Jab kay aurtein 5 ta 10 minute mein jinsi urooj (orgasm) hasil karti hain. Khudlazzati/mushtzani (masturbation) kay hawaley sey humarey haan bohut sey gumraahkun aur ghalat tasawwuraat (myths) aur kahaniyan phaeli hui hain jin se naujawan bohut zyada khaufzada hain magar woh shadi tak usey control nahin karsaktey. Mushtzani kay hawaley sey humarey naujawan do qism kay masa'el ka shikar hain.
Jinsi, jismani aur zehni kamzori ka ehsaas aur khauf
Shadeed ehsaas-e-gunah
Mushtzani Ki 'Tabahkaariyan'
Mushtzani kay mafrroza nuqsan kay hawaley sey jitney qissey, kahaniyan aur afsaaney (myths) mashhoor hain shayed hi kisi aur cheez siwaey hypnotism kay mashhoor hun gey. Urdu mein sex ki kitab utha kar dekh lijiyie woh mushtzani kay farzi nuqsaanaat sey bhari hui hain jin mein sey chend ek darj zeal hain.
Homeo doctor Asghar Ali Chaudhri likhtey hain.
Mushtzani sey khudaetmaadi aur quwwat-e-iradi khatam ho jati hai. Dimagh aur beenaee kamzor ho jati hai. Zehni uljhanein barh jati hain. Fard tanhaee pasand ho kar zindagi kay hungamo'n sey kinara kash ho jata hai. Uzu ki makhsoos rugein ubhar aati hain aur taerha pan ho jata hai.
Mushtzani Kay Masail Aur Farzi Nuqsanaat
|
Darmiyan mein sey patla ho jata hai. Aisey larkey jawan ho kar amooman akhlaqi mujrim ban jatey hain. Muta'alla karney ko jii nahin chahta. Kuch yaad nahin rehta. Bey chaeni, udaasi, afsurdagi, mayoosi, ghabhrahat aur jhijhak iss per tari ho jati hai. Khelon mein hissa leney sey katratey hain. Mushtzani sey jiryan, ehtilam, sur'at-e-inzal aur na mardi tak amraz paeda ho saktey hain, maeda kharab ho jata hai, bhook marr jati hai. Raat ko wehshatnaak khwab aatey hain. Chehra har waqt bey ronaq rehta hai, gaal pichak jatey hain aur zinda laash ban kar reh jata hai.
Ma'aroof likhari aur ustaad Ali Abbas Jalalpoori irshad farmatey hain:
Kasrat-e-jalaq bilashuba ek naukhaez jism aur zehen kay aksar awariz ka sabab ban jati hai. 12, 13 saak ki umer mein kasrat-o-tawatur sey jalaq lagaee jaey to a'aza-e-tanasul ki nashaunuma rukk jati hai. Kotahi, laghari aur kaji kay ba'es majlooq muqarbat kay qabil nahin rehta. Iss ka nizam bhi ma'uf ho jata hai. Aankhein ander ko dhans jati hain. Inn kay gird kaley halqey namudaar ho jatey hain. Aankhon ki putliyan bey ronaq aur bey noor ho jati hain , chehrey ka rung matyaala ho jata hai. Chehrey per phunsiyan nikal aati hain. Hath bheegey bheegey aur sard rehtey hain, hafiza kamzor ho jata hai. Baat kartey waqt mukhatib sey aankh nahin mila sakta, na kisi masley per ghor-o-fikr kar sakta hai iss ka aetmaad-e-nafs majrooh ho jata hai, mizaj hamwaar nahin rehta. Azm-o-hosley sey sey aari ho jata hai. Matloon mizaj aur chirchira pan ho jata hai aur tootey huey jumlon mein baat karta hai. Doosrey hamjinso'n ki sohbat sey guraez karta hai aur khelon mein hissa nahin leta. Tanha idhar udher ghoomta phirta rehta hai. Libas kay maamley mein bey parwaah hota hai.
Mushtzani Kay Mafroozaat Aur Nafsiyati Uljhan
|
Badni safae ka khayal nahin rakhta. Shaadi kay naam sey ghabhrata hai. Jawan aurat sey baat karety huey uss ko paseeney aaney lagtey hain aur dil dhak dhak karney lagta hai. Who tashweesh ki uljhan mein mubtala ho jata hai. Bus mein safar kar raha ho to darta rehta hai kay kahin is ski takkar na ho jaey. Cinema mein betha ho to ooper dekhta hai kay kahin chutt na gir parrey. Iss kay iqdaam aur paeshraft ki quwwat slab ho jati hai aur iss mein mareezana jhijhak paeda ho jati hai. Nafsiyati rukawat kay ba'es woh ma'amooli sa kaam bhi saleeqey sey nahin kar sakta, maslan taxi waley ko awaz detey waqt, khirrki sey ticket khareedtey waqt, rail mein sawar hotey huey, public toilet ko istemal kartey waqt ghabhra jata hai. Woh na kisi kay mazaq per khul kar hans sakta hai aur na kisi museebat mein kisi sey izhar-e-hamdardi kar sakta hai. Uss ki khamoshi kay ba'es log usey mutakabbir samjhney lagety hain kyun kay woh uss kay ajeeb-o-ghareeb tarz-e-amal kay asal asbaab sey na waqif hotey hain. Usey apni alamnak haalat ka ehsas hota hai. Who zindagi kay haqa'eq sey g uraez kar kay barey barey buland nasb-ul-ain apna leta hai aur hero banney kay khwab dekhney lagta hai. Adbi zoq sey behra war hoto meyar sey gira hua adab takhleeq karta hai. Uss kay ehsaas sey zakawat aur takhayyul mein khwabnaaki si aajati hai. Who uskay shaeron aur qisson mein bhi raqeeq jazbatiyat aur alamnaak afsurdagi ka rung b harti rehti hai.
|
Mushtzani Kay Elaj Ki Zaroorat Nahin

|
Yeh ek dhoka, faraeb aur jhoot hai. Kya zyada bolney sey fard kamzor ho jata hai, ya jo fard kam bolta hai ya khamosh rehta hai woh taqatwer hota hai. Pehli baat to yeh hai kay hudd ka meyar kya hai. Har fard ki hudd doosrey sey mukhtalif hai. Ek fard ki hudd haftey mein ek baar hai jab kay doosrey ki hudd din mein ek baar hai. Ta'hum ek din mein 7/8 baar karna bhi hudd sey guzarna aur zyaditi nahin hai. Haqeeqat yeh hai kay koi bhi insaan fitri tor per hudd sey zyada mushtzani (masturbation) nahin kar sakta, kyun kay agar woh hudd sey zyada karey ga to mani (mani (semen)) khatam ho jaey gi aur zakar sooj jaey ga. Khusyon mein dard honay lagey ga, zakar sey mani kay bajaey khoon nikalney lagey ga aur infection ki wajah sey zakar mein dard honey lagey ga. Aisa to shayad hi kisi kay sath hua ho. Dilchasp baat yeh hai kay aisi surat mein chund din mushtzani chorney sey har cheez normal ho jati hai aur koi mustaqil kharabi paeda nahin hoti, yeh fitrat ka self healing system hai. Yani kisi elaj ki zaroorat nahin. Albatta zyada mushtzani aur compulsive mushtzani mein farq hai. Compulsive mushtzani mein fard baghaer kisi khwahish aur zaroorat kay mushzani karta haiojis tarah ba;'az log bar bar hath dhotey hain. Iss surat mein yeh ek nafsiyati beemari hai jis ko OCD kaha jata hai, iskay liye kisi mahir-e-nafsiyat sey elaj karaya jaey.
Ta'hem NIN kuch mushtzani kay ba'ad kamzori mehsoos kartey hain. Iski bari wajah tawaqqa (expectation) hai jis kla hum zikr kar chukey hain kay jaisa hum sochtey hain waisey hi ho jatey hain. Doosra fard mushtzani ki wajah sey shadeed ehsaas-e-gunah mehsoos karta hai.
Mushtzani Sey Depression Bhook Aur Kamzori
|
Fard shadeed udaasi aur afsurdagi mehsoos karta hai. Iska kisi kaam mein dil nahin lagta, tawajja muntashir ho jati hai, chirrchirra pan paeda ho jata hai. Jinsi khwahish khatam ho jati hai, fard ki bhook aur neend bhi khatam ho jati hai aur kamzor honay lagta hai, uska wazen kam ho jata hai. Ab fard ko yaqeen aa jata hai kay woh waqaee mushtzani ki wajah sey na sirf kamzor aur beemaar hogaya hai bul kay jinsi tor per bhi khatam ho gaya hai, hala'n kay iski bari wajah tawaqqa aur doosri wajah depression hai na kay mushtzani. Kamzori ki ek wajah yeh bhi hoti hai kay mushtzani kay ba'ad fard relax ho jata hai jisey woh kamzori samajh leta hai. Hala'n kay yeh sirf relaxation hoti hai na kay kamzori. Aisey naujawan jab kisi 100 sala sanyasi baba kay hatthey charh jatey hain to yeh inko bata kar kay woh jinsi tor per khatam ho chukay hain iss qadar khaufzada kardetey hain kay yeh naujawan ghurbat kay bawajood elaj per hazaron rupey kharch kar detey hain, yeh bangali baba inn naujawanon ko kashtey waghaera detey hain jo aksar muzir hotey hain. Merey aisey ek client ko kashta diya gaya jis sey uss kay gurdey nakaara ho gaey. Sarkari hospitals mein gurdey kay ward mein aksar mareez isi tarah kay hotey hain.
Haqeeqat yeh hai kay mani (semen) ka ikhraj peeshab ki tarah ek normal, mufeed aur sehat mand uzwiati amal hai. Yeh baat iss cheez sey bhi sabit hoti hai kay jab kisi naujawan ki shadi hoti hai to woh shuru mein kasrat sey mubaashirat sey lutfandoz hota hai jis sey bohut zyada mani kharij hoti hai magar iski sehat behter hoti hai.
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|